Kashmakash
Katgarhe me fir se aaj ek maa h
Beti h pet me ye uska gunah h
Bête ki laalsa nai beti k lie khauff h dil me
Tbi kashmakash me fir se aaj ek maa h
Janam de skti h, pr kismat likh pati to baat hoti
Kya kya beeti h khud pe bta pati to baat hoti
Beti ki aane wali zindgi sochke hi uska dil dara h
Tbi kashmakash me fir se aaj ek maa h
Sbka pet bharegi pr us pe Dhyan na koi dega
Achhai sunne ko tarsegi vo kami to har koi Gina hi dega
Tareef sun kr b konsa uski kismat ko badalna h
Sbki khushiyo me hi to akhir usko dhalna h
Is baat ka to pehle se hi uski maa ko pta h
Tbi to dukh me fir se aaj ek maa h
Khrab nazar khrab log ye sb se khud hi use bachna hoga
Akhir me ldko se kahi kam nai is baat ka b khyal use rakhna hoga
Dusro k dukh door krne me apni takleef ko use zarur dhakna hoga
Rambha daasi Mantri mata sb kuch use hi to banna hoga
Fir b na us ghar me koi khas uski jagah h
Yhi sochke to fir se aaj ek maa khafa h
Na to aurat ka dil badlega na hi ye samaj
Bhagwan b virudhh uske, virudhh ye riti riwaj
Zindgi de rhi h beti ko ya de rhi h jahanum, is baat ka na usko kuch pta h
Tbi kashmakash me fir se aaj ek maa h
Tbi duvidha me fir se aaj ek maa h